Friday 31 October 2014

JIVAN BHAR KI BOJH

Yun Khel Khel Me
Bit Jata Hai Bachpan
Ki
Vakta ka Pata Bhi Nahi Chalta.
Vakta
To Gujarta Hi chala Jata Hai.
Aur
Ham Kitabon Ki Bojh tale
Dab Se Jate Hai.

Vakta Aur Aage
Chalta chala Jata Hai,
Madmast .
Beparvah ,
Masti Bhari,
Aati Hai javani
Aur
Iske Sath Hi
Kandhe Par,
Aa Jati Hai
Parivar Ka Bojh
Aur Ham
Parivar Ke Bojh Tale Dab Se Jate Hai.

Vakta Ke Sath
Badhti Chali Jati Hai
Jawabdehiyan
Pareshaniyan !!
Inke bavjud
Ham kadam
Badhate Chale Jate Hai,
Aise Anginat
Bojh Uthaye 
Uthaye Apne Kandho Par .. !!

Aur Jab
Badhte Kadam
Thakne si Lagte Hai,
Kandhe
Bojh
Tale Dabne Si Lagte Hai,
Tab
Ham
Apni Suni-Si Nigah Uthaye
Shunya Aakash Me,
TakTaki-si lagaye
Man Hi Man
Budbudate Hai
- " Hamse
Muhabbat
Karne Valon
Ke Sang Rahne Ki
Mauka De de Aiye Khuda,
Tere Sang to Ham
Marne Ke Bad Bhi Rah
Lenge." 

Ek Din
Jab Maine,
Nadi Kinare
Tairate Lash Ko
Dekha .. !!
Tab
Samajh Me Aaya,
YE BOJH
Sharir Ka Nahi,
Jimmedariyo Ka Nahi,
Jawabdehiyon Ka Nahi !!!!
Yah
Bojh To Saanso Ka Tha !!

Sabhaar : Mukund Nandan
Mobile : 09334534189

Anya Lekh :
@ http://mukundnandan.mywapblog.com

@ http://mukundnandan.wordpress.com

No comments:

Post a Comment