Monday, 18 April 2016

CHINTAN MANTHAN

✴✴✴🔔✴✴✴
शायद
बहुत कम लोग
जानते होंगे की
प्रसाद का अर्थ
क्या होता है !!

🏀🏀🏀
🏀प्र - प्रभु के🏀
🏀सा - साक्षात्🏀
🏀द - दर्शन🏀
🏀🏀

हिंदी एक वैज्ञानिक भाषा है
और कोई भी अक्षर वैसा क्यूँ है
उसके पीछे कुछ कारण है ,
अंग्रेजी भाषा में ये
बात देखने में नहीं आती |
______________________
क, ख, ग, घ, ङ- कंठव्य कहे गए,
क्योंकि इनके उच्चारण के समय
ध्वनि
कंठ से निकलती है।
एक बार बोल कर देखिये |

च, छ, ज, झ,ञ- तालव्य कहे गए,
क्योंकि इनके उच्चारण के
समय जीभ
तालू से लगती है।
एक बार बोल कर देखिये |

ट, ठ, ड, ढ , ण- मूर्धन्य कहे गए,
क्योंकि इनका उच्चारण जीभ के
मूर्धा से लगने पर ही सम्भव है।
एक बार बोल कर देखिये |

त, थ, द, ध, न- दंतीय कहे गए,
क्योंकि इनके उच्चारण के
समय
जीभ दांतों से लगती है।
एक बार बोल कर देखिये |

प, फ, ब, भ, म,- ओष्ठ्य कहे गए,
क्योंकि इनका उच्चारण ओठों के
मिलने
पर ही होता है। एक बार बोल
कर देखिये ।
________________________

हम अपनी भाषा पर गर्व
करते हैं ये सही है परन्तु लोगो को
इसका कारण भी बताईये |
इतनी वैज्ञानिकता
दुनिया की किसी भाषा मे
नही है
जय हिन्द
क,ख,ग क्या कहता है जरा गौर करें....
••••••••••••••••••••••••••••••••••••
क - क्लेश मत करो
ख- खराब मत करो
ग- गर्व ना करो
घ- घमण्ड मत करो
च- चिँता मत करो
छ- छल-कपट मत करो
ज- जवाबदारी निभाओ
झ- झूठ मत बोलो
ट- टिप्पणी मत करो
ठ- ठगो मत
ड- डरपोक मत बनो
ढ- ढोंग ना करो
त- तैश मे मत रहो
थ- थको मत
द- दिलदार बनो
ध- धोखा मत करो
न- नम्र बनो
प- पाप मत करो
फ- फालतू काम मत करो
ब- बिगाङ मत करो
भ- भावुक बनो
म- मधुर बनो
य- यशश्वी बनो
र- रोओ मत
ल- लोभ मत करो
व- वैर मत करो
श- शत्रुता मत करो
ष- षटकोण की तरह स्थिर रहो
स- सच बोलो
ह- हँसमुख रहो
क्ष- क्षमा करो
त्र- त्रास मत करो
ज्ञ- ज्ञानी बनो !!

ज्ञान की जानकारी --
TANTRA - http://mukundnandan.mywapblog.com

ASTRO - http://mukundnadan.wordpress.com
And - http://yormukund.wordpress.com

STORY - http://mukundnandan.blogspot.com

BAKVAAS - http://yormukund.blogspot.com

Facebook - http://facebook.com/mukund.nandan

Friday, 15 January 2016

BILKUL HI BAKWAS BAT

"APNI MULYANKAN SWAYAM HI KARKE .. USKA MULYA KI PRAPTI KI AKANSHA RAKHNE VALE KO SADAIV DUKH AUR NIRASHA HI HATH LAGTI HAI." - Mukund Nandan 

Yah Sahi Bhi Hai, Ki, Insan Ki Ek Vishesh Kisma Ki Avdharana Hoti Hai, Jiske Karan Vah Dusaron Ki Tulna Me Swayam Ko Kuchh Jyada Hi Aakalan Karta Hai. Chahe Uske Samne Vala Ki Haisiyat Aur Aukat Ya Ohda Ya Fir Gyan .. Kuchh Bhi Us Se Lakh Guna Unche Darje Ka Hi Kyun Na Ho. 

Yahi Karan Hai, Ki, Vah Apni Auron Ki tulna Me Jyada Man-Samman Aadi Ki Chahat Rakhta Hai Aur Jab Auron Se Uski Vastvikta Ke Anupat Me Hi Mulya Chukaya Jata Hai, Tab Uske Man Me Kshobh Utpanna Hota Hai Aur Rosh Me Aakar Anuchit Vyavhar Bhi, Dusare aur Khud Ke Sath Kar Baithta Hai. Is Harakat Se Baat banti Nahi, Balki Bigati Chali Jati Hai. Jindagi Asantulit-sa Ho Jata hai.

Anya Lekh -
@ Tantra - http://mukundnandan.mywapblog.com
@ Jyotish - http://mukundnandan.wordpress.com
@ Jyotish Tantra Vastu - http://yormukund.wordpress.com

Tuesday, 25 August 2015

Aaj Bhi Hai Bhojpur Prant Me Aasuri Shaktiyon Ka Dabdaba

Buxer, Bihar Vishwamitra Ka Aashram Tha Aur Tha Vanha "Tadka" Aur Uske Do Putra Subahu Aur Marich Ka Aatank. Inke Aatank Ko Khartma Kiya Prabhu Shri Ram Ne.

Aaranya ( Van/Jungal) Ka Apbhranshit Naam "Arrah" Bihar Ke Bakhari Gaon .. Janha Tha .. "Bakaasur" Ka "Aatank" .. Us Aatank Ko Khatma Kiya Apne "AgyatVas" Ke Dauran Mahabali Bhim Ne.

Vastav Me Ye Asur Chahte Kya The ?

Ye Asur Navin Sanskriti Ko Panapne Nahi Dena Chahte The .. Aur Jo Sanskriti Us Samay Maujud Thi .. Unhe unnati Karne Dena Nahi Chahte The.

Aakhir Kyon ?

Navin Sanskriti Ke Udbhav se Aur Maujuda Sanskriti Ke Unnati Hone Se Unhe Khud Ki Vichar-Dhara, Rahan-Sahan, Khan-Pan Aadi Me Badlav Lane Ki Jarurat Pad Jati, Aur Is Badlav Ke Karan Unki Barbarta-Aatank Hinsaatmak Pravriti Aadi Khatma Ho Jati Jiske Karan .. Unka "Ek Alag Pahchan" Hi Khatma Ho Jati Aur Fir Unhe Bhi Manav Ke Tarah Hi Ban Jana Padta.

Jo Jyada Shakti-shali The Unhe To Khatma Kar Diya Gaya Jiska Varnan Dharma-Granth Ke Eitihas Me To Mil Hi Jata Hai. Par Jo Asur Shakti-Sampanna Na The Ve, Ya To Manviy sabhayta Ko Apna Kar Manav - Samuday Me Dhire - Dhire Ghul _Mil Gaye Ya Pahado-Jangalon Me Chhup Gaye.
Aaj Bhi Aasuri Pravriti se Ot-Prot Logon Ko Bade Maje Se Dekha Ja sakta Hai, Jo Hamre Samaj-samuday Me Maujud Hai.

Par Yah Prashna Ki, Aaj Bhi Aasuri - Shaktiyon Ka Nakartmak Prabhav Bhojpur Prant Me Kis Rup Me Maujud Hai ?

Is Prashna Ka Uttar Praman - Sahit Dekha Ja Sakta Hai. Praman Yah Ki,

1. Aap Unnati Se Sambandhit Koi Bhi Kaam Badi Asani Se Aur Ek Hi Bar Me Pura Nahi Kar Sakte Hai. Aapko Ek hi Kaam Ko Pura Karne Me Bar - Bar Koshish Karni Padti Hai. Yadi Aapne Thak Kar Chhod Diye to Aapki Unnati Ruk Gayi....Aur Yadi Lagatar Koshish Karte Hi Rahe To Kaam Ho Jayega .. Lekin Aapko Unnati Kafi Bilamb se Mili. Itni Bilamb se Ki, Uska Kuchh Vishesh Mayna Hi Nahi Hota.

2. Aap Kam -Dhandha .. Roji - Rojgar Ke Liye Arrah/Bhojpur Prant Se Bahar Chale Jate Hai. Vanha Par Kaam Karte Hue Aapko Aisa Lagta Hai Ki,. Aapko Kafi Unnati Hogi.
Lekin Achanak Aisa Ghatna Ghatega Ki, Aapko Sara Karobar Chhod Kar, Arrah/Bhojpur Prant Laut Jana Padega .. Fir Vahi Dhak Ka Teen Paat !!

3. Aap Apne Agal - Bagal Tanik Jhank Kar Dekhiye. Aapke Agal - Bagal Kafi Unnati Karte Hue Logon Ka Bhi JamavBada Milega. Unke Svabhav-Vyavhar Aur Bite Hue samay aur Vartman Sab Par Ek SarSari Drishti Daliye .. To Milega Ki, Isne Dusron Ki Sampatti Hadap Liya Hai .. Yah Bahut Hi Jhagralo Aur Ahamkari Hai Hai .. Isme Hinsatmak Pravriti Hai .. Yah sab Aasuri-Vriti Hi To Hai.

4 Aise Aneko Jwalant Udahran Milega Jo Ki, Is Prant Me "Nakaratmak Aasuri Shaktiyon Ki Chhaya" .. Maujud Hone Ki Praman Dega.

Iska Nirakaran Kaise Hoga ?

Iska Hal Aap Khud Khojiye, Iske Nirakarn Ka Nirnay Ka Pura Adhikar Mai Aapko Deta Hun.

Lekh  Sabhaar :  Mukund Nandan
Add. - Ujwal Bhavishya Darshan
Jyotish Tantra Vastu
Shodh  Sansthan
Khetari Nehru Nagar,
Arrah - 802301
Bhojpur, Bihar.
Ph. - 09334534189

Anya Lekh -
* Tantra - http://Mukundnandan.mywapblog.com

* Jyotish - http://mukundnandan.wordpress.com
.
* Tantra Ki Satya Ghatnayen - http://mukundnandan.blogspot.com
.
* FACEBOOK - http://facebook.com/mukund.nandan
.


Sunday, 23 August 2015

JAISA MAI SOCHTA HUN

Jab Tum So Jati Ho
Na Jane Kanha Tum
Kho Jati Ho !!

Jab Tum So Jati Ho
Tab Tum Ek Haseen
Khwab Me
Kho Jati Ho !!

Us Haseen Khwab Me
Sirf Aur Sirf
Mai Hi Hota Hun
Ki, Tum Gair Ki Bhi
Ho Jati Ho ?

Tan Se Tum Mere
Paas Ho
Par Tumhar
Man Kanha Hai ?

Gar Hota Tera
Man Mere Hi
Paas !!
To Tum Vahi Karti
Jaisa Mai Sochta Hun !!

Jab Hoga Tera Man
Aur Mera Man Ek Sath
Tab to Hoga Hi Mere
Hathon Me Tera Hath !!
Tab Na Hoga Mera Kabhi
Gairon Ka Sath !! 

Fir Kyun Badhegi
Itni Pyas !!
Jab Tum Jaisi
Shital Aviral Prem Dhara
Bahane Vali Nadi Sam 
ka Sath !!
Fir Kyun Hogi
Auron Se Aas ?

Jaisa Ki Mai sochta Hun !!

Sabhaar : Mukund Nandan
Add. - Ujwal Bhavishya Darshan
Jyotish Tantra Vastu
Shodh Sansthan
Khetari Nehru Nagar,
ARA - 802301
Bhojpur, Bihar.
Mob. - 09334534189

Anya Lekh -
Jyotish - http://mukundnandan.wordpress.com
Tantra - Http://mukundnandan.mywapblog.com
Facebook - http://facebook.com/mukund.nandan
And More ..

Tuesday, 16 June 2015

IS DUNIYA KI HAKIKAT

Is Duniya Me Jine Ke Liye
Ek Hasin Khawab Milta Hai !

Is Duniya Me
Tere Har Sawal Ka
Hansi Aur Jhutha
Jawab Milta Hai !

Kise Kahoge Apna
Aur Kise Kahoge Paraya
Is Duniya Me To
Har Chehre Pe
Ek Hansi Nakaab
Milta Hai !!

Sabhar : Mukund Nandan
Other -
- http://mukundnandan.mywapblog.com
- http://mukundnandan.wordpress.com
- http://facebook.com/mukund.nandan
n more

Sunday, 1 February 2015

EK VICHAR 12


LADAYI - JHAGADE KE MAMLE ME LOG TEEN TARAH KE HO SAKTE HAI -

1. VAISE LOG JINKI ROJI - ROTI LADAYI - JHAGADE SE HI CHALTI HAI.

2. VAISE LOG JINKI ROJI - ROTI LADAYI JHAGADE KE KARAN BARBAD HO SAKTI HAI.

3. VAISE LOG JO TATASTH RAHTE HAI.
                                                                               Dusaron Ki Ladayi - Jhagde Me Padne Se Pahle .. Apani Upar Thoda Thahar Kar soch Lena Jaruri Hai Ki, Mai Kis Prakar Ka Vyaktitva Rakhta Hun.
                           Jo Log Tatastha Rahte Hai , Ve Hi Prayah Jhagde Ko Shant Karne Me Aage Aate Hai Aur Jhagda Shant Bhi Karva Dete Hai. Aise Hi Tisare Prakar Ke Log Ko Mai Sadhuvad Deta Hun.

Sabhaar : Mukund Nandan ( Jyotish Tantra Vastu Visheshagya )

Anya Lekh :
@ .. Tantra : http://mukundnandan.mywapblog.com

@ Jyotish - Tantra - Vastu :
* http://mukundnandan.wordpress.com

* http://yormukund.wordpress.com

@ Jyotish - Tantra - Vastu Par Ghatit Sachchi Ghatnayen - http://mukundnandan.blogspot.com

@ Aakhir Kyon ? .. : http://mukundnandan.blog.com
.

Friday, 16 January 2015

EK VICHAR 11

.
Duniya Aalochako Se Bhara Hua Hai. Adhikansh Aalochak Jalan-khor Hote Hai Aur Jo jalankhor Nahi Hote Vo. Aalochak Ke Darje Me Nahi Aate .. Kyonki, Jo Kuchh Bhi Vyangatmak Bat Vo bol Jate Hai .. Usme aapko Sudhar Kar Lene Ke Sanket Chhupe Hue Hote Hai. Aise Logon Ko Aalochak Nahi Balki Samalochak Kaha Jata Hai. Aise Hi Yadi Samlochak Jan Aapke ird-Gird Rahe To Aap Apni Sudhar kar Kafi Unnati Pa Sakte hai. Aur Kaha Bhi Gaya Hai -
" Nindak Niyare Raakhiye
Aangan Kuti Chhavaye .. " .. .. .. .. Par Yadi Koi Aapko Chaubiso Ghante Vyangya-Baan se Vedh Raha ho ... Har Vakta Aapko Pareshan Karne Ki Koshish Kar Raha Ho To Is Bat Ko Lekar Jyada Hairan-Pareshan Bhi Hone Ki Jarurat Nahi Hai. Aapme Avashya Hi Kuchh Na Kuchh Kami Ya Khashiyat Jarur Hogi .. Usi Ke Vajah Se Agla Aadmi Aapko Hairan-Pareshan Kar Raha Hai. Yadi Kami Hai To .. Us Kami Ko Dur Kar Lijiye .. Aur Yadi Acchhe Gun Hai To, Usko Aur Adhik Kaise Viksit Karenge .. Is Bat Par Vichar Karke Usko Pura Karne Me Jut Jayiye. Apne sadgun Ko Itna Jyada viksit Kar Lijiye Ki, Sadgun Ke Tej Ke Samne .. Vah Pareshan Karne Vala Vyakti Chaundhiya Jaye .. Fika Pad Jaye. Vaise Bhi Bade-Bujurg Kah Gaye Hai -
.
"Jis Ped Par Jyada Mithe Fal Hote Hai .. Usi Par Jyada Patthar Fenke Jate Hai."

Aapko Aise Pattharon Ki Chot Se Ghabarane ke Bajay .. Apni Unchayi Badha Leni Chahiye.
Sabki, Unnati Ke Kamna Ke Sath .. Mera Abhi BAKVAAS Khatma Nahi Ho Gaya Hai .. Jari Hai ..
Anya Upyogi Jankari Sabke Liye -
*@ http://mukundnandan.wordpress.com
*@ http://mukundnandan.mywapblog.com
*@ http://facebook.com/6892864238321